Youtube क्या है ओर Youtube से पैसे कैसे कमाएं - Prime Faqs

Breaking

News That Matters

Search

Youtube क्या है ओर Youtube से पैसे कैसे कमाएं

Youtube Kya Hai Hota Hai - Janiye Hindi Me

Waise mujhe youtube ke baare me jyada kuch btane ki jarurat to nhi hai, lekin phir bhi aise kuch topics hain jinke baare me aap nhi jaante honge.

Hamare bahut se aise readers hain jo humse youtube ke baare me questions karte hain, jaise
  •                Youtube Kaise Work Karta Hai
  •                Youtube videos kaise banate hain
  •                Youtube Channel kaise banaye
  •                Youtube se paise kaise kamaye jaate hain
  •                 Youtube par videos kaise upload kare etc.
bahut se questions hain, jinke baare me readers humse jaanna chahte hain.
To ab hum aapke inhi questions ka jawab dene ki kosish karege or hamari kuch upcoming posts se aapko youtube ke baare me poori tarha step-to-step btane or ek ek karke aapke sabhi questions ka answer dene ki kosish karege.

:- Aaj iss post me aap youtube ke baare me kuch basic information hi jaaenge, jaise – Youtube kya hai, Youtube ka kya kaam ya upyog hota hai, Youtube Kaise Work Karta Hai, Youtube se Paise kama sakte hain ya nhi etc. Isliye youtube ke baare me kuch basic information Jaane ke liye aap hamari yeh poori post dhyaan se padhe.. तो चलिये शुरू करते हैं –

Youtube Kya Hai Or Iss Se Paise Kaise Kamaye In HindiTechnical Guruji

Youtube Kya Hai


Youtube ek free videos sharing website hai, jaha users online videos dekh sakta hai, Videos par apni rating or comments de sakta hai or apne khud ke videos upload (share) kar sakta hai.
Youtube ki sthapana 14 February, 2005 ko hui thi. Iska mukhyalay San Bruno, California, America me hai.
Youtube ki world wide ranking 2 hai. YouTube google ke dwara chalayi jaati hai or youtube ka advertiser Google Adsense hai.

Web par Aajkal ki sabhi sabhi video websites me se youtube sabse upar hai, jaha daily lakhon videos upload or watch ki jaati hain. Youtube web par first aisi site hai, jaha par har roj itne jyada videos upload kiye or dekhe jaate ho. Youtube par every minute 350 minute ki videos upload hoti hain, or every month 8000 lakh logon se bhi jyada iss website ko visit karte hain.
Youtube par har koi visit kar sakta hai or jiska google account or youtube channel ho wo youtube par apne khud ke unlimited videos upload kar sakta hai. Youtube use karne me ekdum free website hai.

Youtube Channel Kya Hai


Youtube par videos upload karne ke liye google id se ek account create kiya jaate hai. Youtube par iss account ko hi Youtube Channel kaha jaata hai. Youtube channel google id wala har koi create kar sakta hai or ekdum free hota hai.
Koi bhi agar youtube par apna video upload karna chahta hai, to usko pehle youtube par apna ek khud ka youtube channel create karna padta hai. Bina youtube channel ke koi bhi videos upload nhi kar kar sakta.

So, Simple words me kaha jaye to youtube par bnaye jaane wale account ko hi youtube channel kaha jaata hai, jisko har koi or free me create kar sakta hai.

Youtube Partnership Programme Kya Hai


Youtube par new Channel create karke apne videos upload karna or phir usko earning (kamayi) ke liye google Adsense ke sath jodna hi ek tarha se youtube Partnership Programme hai.
Youtube Partnership Programme ka hissa banne ke liye aapko pehle apne youtube videos ko monetize karke unpar acche view laane jaruri hote hain. Agar aapke youtube videos par acche views nhi hue to aap youtube Partnership Programme ke liye qualified nhi honge or aap apne videos ke saath google Adsense ko jodkar paise nhi kama payege. Isliye youtube partnership programme ke liye jyada se jyada youtube videos upload kare or unko social sites or apne friends ke saath share karke jyada se jyada views laaye.

Ab aap samajh hi gaye honge ki youtube partnership programme kya hai or iske kaise liye kaise qualify ho sakte hain.

Kya YouTube Se Paise Kama Sakte Hain


Yes.. Youtube se aap paise kama sakte hain. Youtube se paise kamane ke liye aapko apna ek alag youtube channel create karna hoga or phir uspar apne khud ke banaye videos upload karne honge. Aapke upload kiye gaye videos acche, youtube policy ko follow karte hue or unpar jyada views aate ho to aap apne youtube videos se paise kama sakte hain.

YouTube Se Paise Kaise Kamaye ya Youtube Paise Kaise Deta Hai


Jaisa ki maine aapko upar btaya hai, ki youtube se paise kamane ke liye aapko apna khud ka ek channel create karna hota hai or phir uspar kuch acche acche or khud ke create kiye hue videos upload karne hote hain.

Phir agar aapke videos par daily acche views aate ho to aapko youtube channel youtube partnership programme ke liye qualify hota hai. Qualify hone ke baad aapko apne youtube channel or uske sabhi videos ko google Adsense ke saath jodna hota hai. Iske liye aapko apna ek google Adsense account create karna hota hai, ya agar aapka pehle se Adsense account ho to aap uss se bhi jod sakte hain.
Youtube channel ko google Adsense account ke saath jodne ke baad aapke videos ke start hone se pehle google ads show karne lagta hai. Jab viewers aapke videos ko dekhega to usko apka video start hone se pehle ads dikhega. Agar viewers unn ads ko dekhega ya click karega, to google Adsense aapko uske paise dega.
Yahi tarika hai Youtube se paise kamane ka. Aapke videos ko har baar ads nhi milte. Agar aapka video 1000 baar dekha jaata hai to unme se 300-400 baar hi video ki starting me ads show hote hain or unke hi aapko paise milte hain. Isliye agar aapke youtube channel par acche subscribers hain or aapke videos ko daily acche views milte hain to aap youtube se acche paise kama sakte hain.
Technical Guruji

YouTube Ki Kuch Terms and Conditions


Agar aap youtube se videos kamane chahte hai, or youtube ki duniya me success hona chahte hain, to aapko youtube ki kuch Terms and Conditions hain, unko follow jarur karna hoga warna aap youtube me success nhi ho paega or iss se paise nhi kama payege.


Youtube ki kuch Terms and Conditions yeh hain, jinko aapko jarur follow karna chaiye :-

  • Porn videos ko aap youtube par upload nahi kar sakte.
  • Copy kiye huye videos youtube par upload nhi kar sakte.
  • Aap aisa koi bhi video upload nahi kar sakte jis se kisi ki religious beliefs ko nuksaan ho.
  • aap ke videos helpful hone chahiye.
  • Upload kiye gaye videos par hazaron (millones) views hone chaiye.
  • Koi bhi copyright music photo or content ka use naa kare.
Jyada jaanne ke liye Youtube partnership policypage par visit kare aur jankari le.

Note :- Youtube ki new policy ke anusaar aap apne video ko tabhi monetize kar skte h jab aapke views 10000 se upper ho. (Total videos ke views count hote h isme matlab jitne video aapne dale h unpe 10000 views hona jaruri h, Sabhi videos ke views ko mila karke)

Finally,
Ab me aapko yahi kehna chahuga ki agar aap youtube ki privacy policy or Terms and Conditions ko poori tarha follow karte hain or iske liye acchi mehnat karte hain, to aap youtube se acche khase paise kama sakte hain.

Iss post ke baare me apne keemati review jarur dein or kisi bhi tarha ki other help ke liye humse apne questions comments box me kare.

No comments:

Post a Comment